Monday, May 23, 2011

nazm...

Manzil ki talash mein ...kash-m-kash mein kho se gaye hain ...manzil ka toh pata nahin jis rah pe chal rahe the woh bhi kho sa gaya hai....humein toh kambaqt apne darr ne mara gairoon mein kahan dum tha ......uss uchai pe pahuch ke mann phir se shurawat ke liye roya.....aye khuda abb tu itna bata iss bande ko ki kya kare...na koi apne...na  apna nazar aaya.....bas himat de ya isshara hi sahi..ki iss manzil mein apne nahin toh khud ko hi apna sathi bana paun...  jis tarah ruk gayi hun iss rah mein aage badhun ya phir laut aaun !!!